Thursday, 8 September 2011

Jannatul Baqi'

Qabre Zahra Ko Baqee me Na Mitaate Zalim
Aaj Ahmed Ko Lahad me Na Rulaate Zalim

Turbate Baaqaro Jaafar Ho Ya Sajjado Hassan
Todkar Unpe Museebat Ko Na Dhaate Zalim

Laanati Tha Jo Sawood Jisne Kiya Tha ye Gazab
Wo Na Kahta To, Na Rowzon ko Giraate Zalim

Gumzada Aaj bhi Gaibat me hain Aqa Apne
Unke Aankhon se Lahu Ko Na Bahaate Zalim

Aat Shawwaal Ka Din Gum me Badalta Na Kabhi
Karke Mismaar Na Qabron Ko Mitaate Zalim

Jo bhi Zawwaar Ziyaarat Ko Baqee Jaate hain
Aaj bhi Unko Usee Tarha Sataate Zalim

Qouf Allaho Nabi Ka Unhen Hota Jo Agar
Karbala me Na Lahu Shah ka Bahaate Zalim

Rahm Hota Jo Agar Dil me Zara sa Unke
Qatra Paani Ali Asgar Ko Pilaate Zalim

Chaadaren Cheenke Saidaniyon ki Baade Hussain
Shaamo Kufa me Na Be Parda Phiraate Zalim

Girte Girte Huve Aasu bhi Bober Kahte hain
Haye Aulaade Ali Ko Na Sataate Zalim

No comments:

Post a Comment